Koi Deewana kahta hai
Koi Pagal samajhta hai
Magar 'Dharati' ki bechaini ko
Badal' hi samajhta hai
Main tujhse door kaisi huin
Tu mujhse door kaisa hai
Ye mera dil samajhta hai
Ya tera dil samajhta hai
Mohabbat ek 'Ehsaason' ki
pawan si kahani hai
Kabhi 'Kabira' deewana tha,
Kabhi 'Meera' deewani hai
Yahan sab log kahte hain
Meri aankhon mein 'aansu' hai
jo tu samajhe to 'Moti' hai
Jo na samajhe to 'Paani' hai
No comments:
Post a Comment